Saturday, June 19, 2010

Shaadi Sey Jismani Aur Zehni Sukoon

Mani (seminal fluid) kay ikhraj ka sab sey behter zarya shaadi hai isi liye Allah kay nabi ney taakeed ki hai kay baaligh hotey hi fard ki shaadi kar di jaey ta'kay woh gunaho'n sey bach jaey. Shaadi ki wajah sey fard na sirf gunaho'n sey bach jata hai bul kay mani kay ikhraj ki wajah sey woh jismani aur zehni tor per pursukoon ho jata hai. Biwi sey mubashrat sirf faraj mein karney ki ijazat hai. Maq'ad (anus) mein mubashrat qata'an haram hai.
Hazrat Abu Hurera sey rivayat hai kay Hazrat Muhammad ney farmaya kay apni biwi kay paas maq'ad (anus) mein aaney wala mal'oon hai. (Ahmed, Abudaud)
Maghrib mein taqreeban 30% mard kabhi na kabhi aurat ki maq'ad (anus) mein mubashrat kartey hain, yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusl farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho.
Shaadi bhi kisi aurat kay sath ho. Maghrib mein to shaadi mard kay sath bhi hoti hai jo kay ek bohut bara gunah hai. Badqismati sey humarey haan bhi aisey log mojood hain jo aurat ki nisbat mard sey jinsi fael ko terjeeh detey hain yeh ek nafsiyati beemari hai jis ka nafsiyati elaj mumkin hai. Humarey haan yeh sahoolat mojood hai.

No comments: