Yeh naaliyan taqreeban 3.5 din ba'ad bhar jati hain, mani ka ikhraj na honay per inn mein irritation aur tension hoti hai jis ki wajah sey fard khudlazzati/musht zani per majboor ho jata hai.
Musht Zani kay hawaley sey imamo'n ki ra'ey mein ikhtilaf hai.
Imam Malik aur Imam Shafa'ee isey gunah aur haram samajhtey hain.
Imam Abuhanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba'waqt e zaroorat ki ja sakti hai aur Khuda maaf farma dey ga.
Imam Han'bal isey ja'ez samajhtey hain aur in kay nazdeek iss ka koi gunah nahin.
Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Islam ka ek bunyaadi usool yeh hai kay har cheez halal hai jab tak Allah aur uskay Rasool ney usko haram na qarar diya ho. Quran Majeed mein musht zani kay haram honay ka kahin bhi wazeh zikr nahin. Ba'az ulma'a ney sura Momineen ki aayat 5,6 :
"yaqeenan falah paee eeman laney walo'n ney jo …apni sharamgaho'n ki hifazat kartey hain, siwaey apni biwiyon aur londiyon kay"
sey akhaz karney ki koshish ki hai kay yeh haram hai jab kay bohut sey doosrey ulma'a ney yeh mafhoom nahin liye. Kuch ney kaha kay iss sey muraad mat'aa hai ba'az ney kaha kay iss sey muraad zina hai. Yani iss hawaley sey ahl e ilm mein khasa ikhtilaaf hai. Agar iss sey murad musht zani li jaey to phir iss sey yeh nukta bhi nikalta hai kay biwi aur londi ki har cheez ja'ez hai aur halal hai yani maq'ad mein mubashrat karna bhi ja'ez aur halal hoga
No comments:
Post a Comment