Saturday, June 19, 2010

Greater Sins In Urdu - Gunah e Kabira

To phir iss per yeh daleel di jati hai kay amal e qom e loot ko to Quran mein wazeh tor per haram qaraar dya gaya hai. Quran majeed kay muta'alley sey ek baat samney aati hai kay ba'az jagah Quran majeed ney ek cheez ki hurmat ki taraf sirf ishara kya magar kisi doosri jagah isey wazahat sey haram qarar dey diya gaya. Yani koi aisa gunah e kabira nahin jis ko Quran o hadees mein wazahat sey beyan na kya gaya ho. Chunancha Quran majeed mein musht zani kay haram honay ki koi wazeh ayat mojood nahin. Iss tarah Allah kay nabi ney bhi isey haram qaraar nahi diya. Meine ahadees ki ahem kutub ko chaan maara, mujhey musht zani ki hurmat per koi ek bhi hadees nahin mili. Sirf Anas bin Malik kay hawaley sey ek hadees ka zikr aata hai magar ahl e ilm ney isey ghareeb qarar diya hai kyun kay is ski sanad mein ba'az ravi majhool aur za'eef hain.
Phir meine ulma e ahl e hadees aur ahnaaf sey bhi rabta kya to woh bhi kisi sahi hadees ki taraf meri rehnumaee nahin kar sakey, yeh masla mojooda daur ki paedawar nahin bul kay Allah kay nabi kay daur mein bhi tha. Meri naqis ra'ey mein Allah aur us kay nabi ney iss masley sey sarf-e-nazar kya hai. Chunancha Imam Zehbi ney apni mashhoor kitab 'Gunah e Kabira Ki Kitab' mein 79 gunah e kabira ka zikr kya hai. Jo darj zael hain:
Allah kay sath shirk karna
Qatal karna
Jadu karna
Namaz chorna
Zakat ada na karna
Mah e Ramzan ka roza bina uzr chorna

No comments: