Friday, December 31, 2010

sms service jo ap k ley bohat achi hai

Hi,Dostoo main ap k liye laya eak aur service jahan say ap receive kar saktay hain LIVENEWS,WeatherUpdate Genral Knowledge,jokes,tricks yeh he nahi Ap k sath questions Answer b kiye ja saktay hain daily 3 genral knowledge k questions miltain or hain aglay din 3questios ap say pouchen jayen gen or ap un 3 questions k answers dayen gen to abi write msg me jayen or type karen FOLLOWE-NEWS Send it to Pring.
ager warid hai to 9536 pay send karen
ager ufone hai to 414 pay send karen
ager zong hai to 2323 pay send karen...duaoon me Yaad rakhna...

ap k ley ak achi site

Assalaamu Alaikum va Rahamtullahi va Barkatuh!

kuch share karne se pahle site Admine se guzarish hai ke is post ko delete na karen (SHUKRIYA)

doston aaj main jo site share karne ja raha hon woh site is site se yani ke www.itdunya.com se bhi achchi site hai. ek buhut hi zabardast site.

and the site is http://home.comcast.net/~wolfand/

mazey karen aur hame ijazat den.

KHODA HAFEZ
: happy:

Saturday, June 19, 2010

Greater Sins In Urdu - Gunah e Kabira

To phir iss per yeh daleel di jati hai kay amal e qom e loot ko to Quran mein wazeh tor per haram qaraar dya gaya hai. Quran majeed kay muta'alley sey ek baat samney aati hai kay ba'az jagah Quran majeed ney ek cheez ki hurmat ki taraf sirf ishara kya magar kisi doosri jagah isey wazahat sey haram qarar dey diya gaya. Yani koi aisa gunah e kabira nahin jis ko Quran o hadees mein wazahat sey beyan na kya gaya ho. Chunancha Quran majeed mein musht zani kay haram honay ki koi wazeh ayat mojood nahin. Iss tarah Allah kay nabi ney bhi isey haram qaraar nahi diya. Meine ahadees ki ahem kutub ko chaan maara, mujhey musht zani ki hurmat per koi ek bhi hadees nahin mili. Sirf Anas bin Malik kay hawaley sey ek hadees ka zikr aata hai magar ahl e ilm ney isey ghareeb qarar diya hai kyun kay is ski sanad mein ba'az ravi majhool aur za'eef hain.
Phir meine ulma e ahl e hadees aur ahnaaf sey bhi rabta kya to woh bhi kisi sahi hadees ki taraf meri rehnumaee nahin kar sakey, yeh masla mojooda daur ki paedawar nahin bul kay Allah kay nabi kay daur mein bhi tha. Meri naqis ra'ey mein Allah aur us kay nabi ney iss masley sey sarf-e-nazar kya hai. Chunancha Imam Zehbi ney apni mashhoor kitab 'Gunah e Kabira Ki Kitab' mein 79 gunah e kabira ka zikr kya hai. Jo darj zael hain:
Allah kay sath shirk karna
Qatal karna
Jadu karna
Namaz chorna
Zakat ada na karna
Mah e Ramzan ka roza bina uzr chorna

Musht Zani In Islam

Yeh naaliyan taqreeban 3.5 din ba'ad bhar jati hain, mani ka ikhraj na honay per inn mein irritation aur tension hoti hai jis ki wajah sey fard khudlazzati/musht zani per majboor ho jata hai.
Musht Zani kay hawaley sey imamo'n ki ra'ey mein ikhtilaf hai.
Imam Malik aur Imam Shafa'ee isey gunah aur haram samajhtey hain.
Imam Abuhanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba'waqt e zaroorat ki ja sakti hai aur Khuda maaf farma dey ga.
Imam Han'bal isey ja'ez samajhtey hain aur in kay nazdeek iss ka koi gunah nahin.
Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Islam ka ek bunyaadi usool yeh hai kay har cheez halal hai jab tak Allah aur uskay Rasool ney usko haram na qarar diya ho. Quran Majeed mein musht zani kay haram honay ka kahin bhi wazeh zikr nahin. Ba'az ulma'a ney sura Momineen ki aayat 5,6 :
"yaqeenan falah paee eeman laney walo'n ney jo …apni sharamgaho'n ki hifazat kartey hain, siwaey apni biwiyon aur londiyon kay"
sey akhaz karney ki koshish ki hai kay yeh haram hai jab kay bohut sey doosrey ulma'a ney yeh mafhoom nahin liye. Kuch ney kaha kay iss sey muraad mat'aa hai ba'az ney kaha kay iss sey muraad zina hai. Yani iss hawaley sey ahl e ilm mein khasa ikhtilaaf hai. Agar iss sey murad musht zani li jaey to phir iss sey yeh nukta bhi nikalta hai kay biwi aur londi ki har cheez ja'ez hai aur halal hai yani maq'ad mein mubashrat karna bhi ja'ez aur halal hoga

Islam Aur Musht Zani (Masturbation In Islam)

Musht Zani (masturbation) kay hawaley sey doosra ahem masla ehsaas e gunah ka hai. Merey ek client ney musht zani sey bachney ki bharpoor koshish ki magar kamyaab na ho saka. Phir ehsaas e gunah ki shiddat ki wajah sey khudkushi kii magar khushqismati sey kamyaab na ho saka. Musht Zani gunah hai ya nahi, chota gunah hai ya barra, iss per ikhtilaf e raey ho sakta hai magar khudkushi per to dozakh lazim ho jati hai.
Musht Zani/khud lazzati key hawaley sey ek baat zehen mein rahey kay shuru mein amooman naujawan isey shauq sey nahin kartey bul kay majbooran kartey hain. Dar asal mard kay masaney kay qareeb mani ki do thaeliyan seminal vesicles hoti hain jo mani (semen) ka ek hissa banati hain.

Masturbation In Islam

Woh log jo jail mein hotey hain ya kisi wajah sey jinsi amal sey mehroom hotey hain, unki jinsi salahiyat kam honay lagti hai yani jinsi sargarmi (activities) sey jinsi salahiyat (mardana quwwat) mein izafa hota hai.
Note: mein iss hissey ko kitab mein shamil na karna chahta tha phir socha kay aisa karna ilmi bud diyaniti ho gi.
Mardon kay do ahem jinsi masail surat e inzal (premature ejaculation) aur namardi (impotency) hain. Inn donon amraz kay elaj ka sab sey mu'asser tariqa elaj musht zani hi hai jo poori dunya mein kaamyabi sey istemaal ho raha hai. Isi tarah aurton ka ek ahem jinsi masla adumdakhool (vaginismus) hai jis mein mubashrat kay doran dakhool na mumkin hota hai, iss masley ka ahem hal bhi musht zani hi hai.

Shaadi Sey Jismani Aur Zehni Sukoon

Mani (seminal fluid) kay ikhraj ka sab sey behter zarya shaadi hai isi liye Allah kay nabi ney taakeed ki hai kay baaligh hotey hi fard ki shaadi kar di jaey ta'kay woh gunaho'n sey bach jaey. Shaadi ki wajah sey fard na sirf gunaho'n sey bach jata hai bul kay mani kay ikhraj ki wajah sey woh jismani aur zehni tor per pursukoon ho jata hai. Biwi sey mubashrat sirf faraj mein karney ki ijazat hai. Maq'ad (anus) mein mubashrat qata'an haram hai.
Hazrat Abu Hurera sey rivayat hai kay Hazrat Muhammad ney farmaya kay apni biwi kay paas maq'ad (anus) mein aaney wala mal'oon hai. (Ahmed, Abudaud)
Maghrib mein taqreeban 30% mard kabhi na kabhi aurat ki maq'ad (anus) mein mubashrat kartey hain, yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusl farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho.
Shaadi bhi kisi aurat kay sath ho. Maghrib mein to shaadi mard kay sath bhi hoti hai jo kay ek bohut bara gunah hai. Badqismati sey humarey haan bhi aisey log mojood hain jo aurat ki nisbat mard sey jinsi fael ko terjeeh detey hain yeh ek nafsiyati beemari hai jis ka nafsiyati elaj mumkin hai. Humarey haan yeh sahoolat mojood hai.

Misconception About Size Of Penis

Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar (penis) kay hawaley sey sirf ghalat fehmi (misconception) hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain.
Fard apney zakar ko ooper sey dekhta hai, jiski wajah sey sara zakar nazar nahi aata aur fard samajhta hai kay uss ka zakar chota hai. Mazeed agar fard ka paet kuch nikla hua ho to woh bilkul hi chota nazar aata hai.
Iss kay elawa naujawan fahash films kay hero kay zakar kay sath apney zakar (penis) ka mawazna kartey hain. Fahash films mein kaam karney kay liye aisey afraad ka intekhab kya jata hai jin ka zakar (penis) lamba ho maslan ek American actor ka zakar 18 inches lamba hai. Iss kay elawa camera trick ki madad sey aam zakar ko lamba kar kay dikhaya jata hai jis ki wajah sey iss actor ka zakar muqablatan bohut lamba nazar aata hai.
Ba'az naujawan apney sukrrey juey bohut chotey zakar sey apney asal zakar kay size ka andaza lagatey hain jab kay ba'az logon ka sukrra hua zakar bohut chota ho jata hai jab kay akarr kar kafi lamba ho jata hai. Lehaza zakar ka asal size akrrahat wala hota hai.
Iss tarah ba'az naujawan apney doston kay barey zakar kay sath apna muqabla kartey hain agarcha inn ka zakar kuch chota hota hai magar unko kuch zyada hi chota mehsoos hota ha Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai.
Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi.
Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai.
Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiq America mein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai. Pakistan mein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde)

ak pagal zindagi

AK PAGAL ZINDAGI
TO ZINDAGI KI BAT HO RAHI HAI ,,,,KICH LOG KAHTEY HAIN K ZINDAGI KYA HAI
ZINDAGI US WAQAT TAK ACHI LAGTI HAI JAB TAK INSAN IPNY MA BAP K PESO PAR JETA HAI MAGAR JAB APNI PAR ATI HAI TO BUSSSSSSSSSS HO JATI HAI,,,,.........


AUR ZINDAGI KA US DIN PATA CHALTA HAI JAB AP KISI DIN BOHAAAAAAAAAAT MAYOUS HOTY HO

AGER ZINDAGI MEIN KOI SUB SE BARI GALTI KARNI HO TO PPAR KARO
PYAR MEIN SUB KUCH THEK LAGY GA MAGAR WAQAT K SATH SATH SUB MALOM HO JAY GA ,,,,,,,,,,

AUR MERA MAINANA HAI K AJ KAL PYAR NAHI HOTA HAI SUB BUS DAKOSLY HIAN KUCH SUCH NAHI HOTA HAI SUB MATLAB K HAIN KOI BHI MUJHY ASA NAHI MILLA JO MATLAB NA RAKTA HOOOOOOO,,,,,,,

Thursday, June 17, 2010

love kya hota hai

meri ak zindagi ka chota sa tajrba kah lo ya bus.............. meri zindagi samajh lo kya kaho
kuch bohat tota howa hon mein
jad k mein janta hon k pyar ki meiny ak seri tak par na ki hogi........
tu pyar kya hota hai ??????????/
pyar ik ahsas hota hai jo andar andar hi andar jalta hai yea na jany kab hot hai aur is k motwater
ak chez hoti hai hawas yae us k jesy hoti hia magar in mein zamin asman ka fark hota hai